ibn-e-Insha...

June 13, 2017

Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
tum Inshaji ka naam na lo, Kya Inshaji saudai hain
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
Ye baatein, ye baatein...

Hai lakhon rog zamane mein, kyon ishq hai ruswa bechara
hain aur bhi wajhe wahshat ki, insaan ko rakhti dukhiyara
haan bekal bekal rehta hai, wo preet mein jis ne dil hara
par shaam se lekar subho talak, yoon kaun phire hai awaara
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
ye baatein, ye baatein....

Gar ishq kiya hai tab kya hai , kyon shaad nahin abaad nahin
jo jaan liye bin chal na sake, ye aisi bhi uftad nahin
ye baat to tum bhi maano ge, wo Qais nahin Farhaad nahin
kya hijr ka daru mushkil hai, kya vasl ke nuskhe yaad nahin
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
ye baatein, ye baatein...

Jo hum se kaho hum karte hain, kya Insha ko samjhana hai
Us ladki se bhi kehlenge, go ab kuchh aur zamana hai
Ya chhodein ya takmeel karein, ye ishq hai ya afsana hai
Ye kaisa gorakh dhanda hai, ye kaisa tana-bana hai
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
Tum Inshaji ka naam na lo, Kya Inshaji saudai hain
Ye baatein jhooti baatein hain, ye logon ne phailayi hain
Ye baatein, ye baatein...

You Might Also Like

0 comments

Popular Posts

Like us on Facebook

Flickr Images